Rehte hain chup aur khud se kalam kartay hain
ajjab kaam ye diwanay subho sham karte hain
hansi hansi main dabba daity hain dard ki lehar
siskion ko kamal-e-zabt se gumnam karte hain
khud to nahi hain shamil kissi ke shumar main
apni mohabbat phir be sab ke naam karty hain
wo jo tarrap se jaatey hain ankahi baat par be
unn he ko khaas, aur khud ko aam karte hain
jin ke liay tha wo aya, be daam lutta ke dunia
ab wo be soch soch ke uss ke daam karte hain
nahi hay soch main shamil, zaat koi na baat koi
ab umeed e tanhai ko apna anjaam karte hain
qissa to hay ye purana, unwaan be nahi badla
ik naam badal ke khud ko badnam karte hain...